Thursday, 8 December 2011

muhobbat agar azmaani hai to bas itna hi kaafi hai

zara sa rooth kar dekho maname kaun aata hai..

Barbaad He Karna Tha Toh Aur Bhi Raaste The Bahot....

Naa Jaane Usko Mohabbat Ka He Khayaal Kyun Aaya....!!!! :/

Chalo aao kainaat baant laity hain
Aik tum meray baki sab tumhara...

Mujh Ko Sirf Itna Bata Dai Aye Mere Dast

Rooth Jaye Jo Muqadar Toa Mana'oon Kaise

mujhe ishtehaar si lagti hain yeh mohabbaton ki kahaniyan...

jo kaha nahi woh suna karo jo suna nahi woh kaha karo....

Kaanton pe chal rhe hai sabhi iss ummed me, shayad ho iske baad Gulaabon ka silsilaa...

Mujh Ko Dushman Ke Irado Pe Bhi Pyar Aata Hai

Teri Ulfat Ne Muhabbat Meri Addat Ker Di

Me Nahi Itna Ghafil K Apne Chahne Walon Ko Bhool Jaon,

Peeta Zaroor Hon Lekin Thori Der Yaadon Ko Sulane K Liye

You say that you love rain, but you open your umbrella when it rains...

You say that you love the sun, but you find a shadow spot when the sun shines...

You say that you love the wind, but you close your windows when wind blows...

This is why I am afraid when you say that you love me...

Dil main hota to kisi tarah nikal hi jata

ab to woh shakhs bohot door talak hai mujh mein...

Mujhe Aaj Bhi Us Ke Pyar Ki Takat Rone Nahi Deti

Wo Kehti Thi Ke Mein Mar Jaongi Tumhare Aansu Girne Se Pehle

"dil ki tareef aur kia ho ge

ek khelona jo toot jata hai"

wo kase log thy ya RAB jinho ne paa lia tjko……

hmen to ho gya dushwaarr ek insan ka milna.

Tujhe Muhabbat Karna Nahi Ata,

Mujhe Muhabbat K Siva Kuch Nahi Ata….

Pyar Karne K B Do He Tareekay Hein,

Aik Tujhe Nahi Ata Aik Mujhe Nahi Ata..

Ye duniya aik lamhy mein tumhy barbaad Kar dy gi
Mohabbat mil B Jaey To usay mashoor mat krna…

"Suna Tha Waqt Apnay Ap Ko Dohrata Hai

Main Aj Tak Gaye Dino Kay Intizar Main Houn".

Kisi Din Hum Guzra Hua Kal Ban Jaen Ge .........!

Pehle Har Roz Kisi Ko .........!

Phir Kabhi Kabhi Kisi Ko ........!

Phir Kabhi Na Kabhi Kisi Ko ........!

Phir Kabhi Bhi Kisi Ko Yaad Na Aayen Ge ...........!!!!

mujhse kehti hai tere sath rahungi.......

bohut pyar karti hai mujhse udaasi meri.....

mujhe itna na yaad aao k khud ko tum samajh baithun.....!

mujhe ehsas rehne do,meri apni b hasti hai.....!

Kaisa waqt hai use fursat nahin hame yaad karne ki FARAZ,,,

Kabhi jo shakhs hamari hi saanson se jiya karta tha...

Sirf Ek Shakhs Ke Gam Mein Mujhe Barbaad Na Kar

Roj Rote Hue Kehti Hai Zindgani Mujh Se.

"Ishq me ye kya gazab hua,

ke main main ka na raha

kaise bhulaye ga wo meri barson ki chahat ko-

darya agar sookh b jaye to rait se nami nahi jati--

mujhse naraz hai to chod de tanha mujhko,

zindagi dekh mujhe roz tamasha na bana,

Sunday, 9 October 2011

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein….
Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gyay.!

Ye mera wahem ek din mujhey dubo de ga,
tera aks nazaar aataa hai sammandar ki lehron mein.
Ek Mudat Ke Bad Hum Ne Yeh Jana Aye ” KHUDA ”
Ek Teri Zaat Se Ishq Sacha Baqi Sab Afsaane Hain. .

Insan Ek Hi Baar Muhabbat Karta Hai
Aur Baki Muhabbaten Us Muhabbat Ko Bhulane Ke Liye.

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi Ek Qaatil ho,
Mere andar ka hansta hua insaan tumne maar dala ha

Wo aaj bhi sadion ki musafat pay khara hay......
Dhoonda thaa jisay waqt ki deewar giraa kar...!

Bohat Mushkil Ho Gaya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna,
Magar Woh Keh Gayi Hai Apna Khayal Rakhna. . .!
Bhatake Hue Phirte Hain Kai Lafz Jo Dil Main..
Duniya Ne Diya Waqt To Likkhenge Kisi Din!!...

ishq nahin hai tum ko mujhse sirf bahane karti ho
yunhi bahane qayam rakhna tum mere mar jane tak

Mushkil To Ye Hai K Usy Meri Mohabbat Ka Yaqeen Hi Nahi . . .
Aur Mein Bhi Majboor Hoon K Dil Nikal K Dekha Nahi Sakti . . . 

Mushkil To Ye Hai K Usy Meri Mohabbat Ka Yaqeen Hi Nahi . . .
Aur Mein Bhi Majboor Hoon K Dil Nikal K Dekha Nahi Sakti . . 
Shayad Us Khuda Ne Khushi Ka Panna Meri Kitab Se Fad Dala
Tabhi To Jindagi Ki Kitab Padhane Me Dard Hi Milata 

Wafayein mangate phirty Hen Fakeeron ki Tarha
Ajeeb Log Hain kehte Hain Mohabbat Ki Hy...

ke wo baat jo khud se bhi chupa rakhi hai
ek wahi baat bhala kaise bataoon tujko

Thursday, 6 October 2011


Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai,
Raat hoti hai to aankhon mei utar aata hai…
shayad k mein kamzoor parh jata us aakhri mulaqat mein dost
yeh to barish ki meharbani thi jis ne chupaye aansu mere :(

Mere honton ke mehkte howe nagmon per na jana,,
Mere siney mei kayi auy bhi gham palte hain

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa,
K Main Ne Bhi Lutaya Hai Mohabbat Mein Sukoon Apna.

Main na jugnu hOn na diya hOn na kOi chaand,
Phir rOshni waale mere naam se jalte kyun hain !
Suna hOga tumne kisi se,ke Dard ki ek Hadd hOti hai,
Milo humse ke hum akser us hadd ke paar jatey hain




Maa-baap  

Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri soch se bhi door tha...

Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay...

Tujh ko aata sirf rona hi tha
Doodh pi ke kaam tera sona hi tha...

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri...

Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga...

Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya...

Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga...

Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei...

Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga...

Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga...

Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga...

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin...

Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya...

Josh main aake tu ne yeh maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha...

Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tod do...

Jao ja ke kahin kaam dhanda karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro...

Bait kar aahen bharti thi maa raat bhar
Inki aahon ka tujh par howa na asar...

Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar...

Phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi isko har roz satati rahi... 

Maen chala hoon sharab khane jahan koee gham nahee
Jese Dekhne hoo janat mere saath saath ayae

Tuesday, 4 October 2011

HER MOR PE MIL JATE HAI HUMDARD HAZARON

SHAYAD MERI BASTI MAI ADAKAR BOHUT HAIN......
Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas
Aik Hasti K Gird Ghoomti Hai

Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri 'Maa' K Qadam Choomti Hai
Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna..
Maine Wo Zakham Bhi Khaye Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The..
Chand k Husan Pe Har Shaksh Ka Haq Hai ....
Main Usse Kaise Kahun Raat Ko Nikla Na Kare....
Inhi Rasto'n Ne Jin Pe Kabhi Tum Thay Sath Mere,
Mujhe Rook Rook Pocha, Tera Humsafar Kahan Hai

Kon kis ke saath kitna mukhlis hai,
waqt har rishte ki auqaat bata deta hai..
Kbhi Guzrti thi Zindgi Khushiyan Pane main,,,
Ab Wqt Guzar Jata hai Kagaz k Tukre Kamany main...!
Mujh say kehti hai tery sath rahoongi
Buht piyar krti hai mujhsey udasi meri

Saturday, 1 October 2011

Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..

Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha?..!

Friday, 30 September 2011

Usne tujhe chhod diya to kya hua
tune bhi to uske liye sabko chhoda tha..!
एक तस्वीर जो लाखों में बिक गई,
जिसमे बगैर रोटी के बच्चा उदास है,
Zindgi Tujhse Humain Koi Taman’na Kab Thi..!
Hum To Is Aass Pay Jeetay Hain Ke Marna Kab Hai.!
Kaise Bhulaye ga Wo meri Barson ki Chahat ko,...,
Darya agar Sookh bhi jaye to Rait se Nami Nahi Jati,...

Thursday, 29 September 2011

Toot kar bikharta hoo’n to is baat ka ahsaas hota hai,
Zindagi itni takleef deti hai to maot ka aalam kya hoga
Badnaam Hue Hum Sheher Me Jiski Wajah Se,
us Shakas Ko Kabhi Humne Jee Bhar Ke Dekha Bhi Nahi Tha.
Us ne kaha tha k main tuje apna bana k chhoroonga.
Phir us ne aisa hi kia apna banaya.... aur chhor dia
Apno ko haste dekha mujhpe to samajh aya,
In aansuo ka shayad, ab mol kuch nahi hai...
Aise me aaina hi, sachcha lage hai mujhko,
Mai ro raha hu aur bas, ek wo hi khush nahi hai...

Wednesday, 28 September 2011

Baha k Aansoon mere woh kehte hain...
Tumhari aankhoon mein paani kitna haseen lagta hai,...,
"Pachtaya Bohat uss k Darwazey per Dastak De ker
"Khud ko ajeeb sa laga jab uss ne Poocha kon Ho Tum".....
Is Qadar Keemti To Na Tha Mera Chain-o-Sukoon,...,
Loot Ker Le Gaya Wo Kisi Anmol Khazaney Ki Tarah,...,
Mujh main be-hosh mohabbat ke siwa kuch bhi nhi,...,
Tum agar chaho to mere soch ki talashi lelo,...,
Har Waqt Meri Khoj Mein Rehti Hai Teri Yaad . . .
Tu Ny To Mery Wajood Ki Tanhai Bhi Cheen Li . . .
hain sabhi ko hum se shikayatain,par hame kisi se gila nhi......
ye asool hum ne bana lia na mila karo ,na gila karo......
Uski muhabbat ne itna mazboot kiya mujh ko,...,
K faqat uski judayi k siwa ab koi mujhe torh na sakega,...,
Tum Rakh Na Sakoge Mera Tohfa Sambhaal Kar,..Warnaa...!!!
Main Tumko Abhi De Don Apne Jism Se Rooh Nikaal Kar...!!!
Bepanah Chaahat Ke Baad Bhi Hum Use Pa Na Sakey,...,
Kisi Khushnaseeb Ne Usey Apni Berukhi Se Jeet Liya,...
chup chap guzar ja,mere ghar ki dehleez se
"ae mohabbat"
dastak tere hathon se ,mera ghar na jala de
doobi hain meri ungliyan khud mere hi khoon me,
ye kanch ke tukdon par yakeen karne ki saza hai,
Bhool Ker Bhi Muhabbat K Jungle Mein Na Aana,...,
Yahan Saanp Nahi Insaan Dasa Karte Hain,...,
Jab bhi usse bhulnay ki koshish karta hoon,...,
Mere andar hai koi jo meri himayat nahi karta,...
Matt kar itna gharoor apny aap per Aye Insan,
Na jany Khuda ne kitny tere jese bana bana k mita diye.
Dil ki rag rag nichor leta hai !
Ishq m ye badi museebat hai
Aaj kal har shaks Hme zindgi kaise jiye ye sikha jata Hai..
Unhe kaun samjaye
"Ek khwab Humara Bhi Hai Adhura Varna Humse Behtr Jina Kise Aata Hai.."
Khali hathoon ko kabhi gaur se dekha hai janab…..

kis tarah log lakeeron say nikal jaaya karte hain
Ab Yeh Aalam Hai K Tanhai Se Hum Tang Aa Kar,...,
Khud Hi Darwazay Ki Zanjeer Hila Detay Hain,...,
Jahan rishte hawaon ki tarah behne ke aadi hon,...,
wahan aapne to hote hain par aapnapan nahi hota,...
‎"mai shayar nahi na shayri se hai mera waasta koi..
bas aansuon se hai dosti aur kalam mera yaar hai..
suna tha patharon me darar aati hai to paani nikalta hai....
aaj dil tuta aur aansu baha to yakin ho gaya....
kabi kabi meri ankhien yun hi ro padti hain.......
main inko kaise smjhao ki koi shaks chahne se apna nai hota...!!
‎"Hum Ko Aata Hi Nhi Zakhmon ki Numa'ish Krna,

Khud Hi Roty Hain, Trapty Hain, Behal Jatay Hain...
‎"chalo mohabat ki nayi bunyaad rakhte hai,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hai,
hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hai,
mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hai…"
Mujhe apne hathon ki sab ungliyon se pyar hai....
Najane kis ungli ko pakad kar mere maa baap ne mujhe chalna sikhaya..
Ahsas-e-Mohabbet Ke liye Bus Itna Hi Kaafi Hai,...
Tere Begair Bhi Tere Saath Rehta Hoon,...
Mujhse bewafai ki ummeed to tum kabhi mat rakhna
Maine to tanhai ko bhi kabhi tanha nahi chhoda...
Aag ki taseer thandi nahi hoti....|
jazbaat hon ya jism, shole sirf jalaana jaante hain..
mai bojh ban jaounga apne he dosto par ek din dekhna...............
jab kandhe badal rahe honge wo har do kadam ke baad
Mere Rab ne muj ko Aanso’on ki Saltanat de di,...
me Jab bhi Hansta hun to aankhain bheeg jati hain,...,
Wafaa Ka Zakhm Hai Gehra To Koi Baat Nhi,...,
Lagaao Bhi To Hame Unse Intehaa Ka Tha,...
Tumne kaha tha aankh bhar kar dekh liya karo mujhe,
Ab aankh toh bhar aati hai par tum nazar nahi aate..
‎"Mat pooch kya guzri hai is dil par tere jaane ke baad,
 bas itna jaan le kuch bikhar sa gaya hun mai.. :(
udney do parindon ko abhi shokh hawa mein
Phir laut kar bachpan ke zamane nahin aate
‎'Ki Ghar banwaya usne masjid ke saamne .... Aur Chahat ne uski mujhe Namazi bana diya'.
Sabit To Ho Gaya Ki Main Bewafa Nahi,...,
Ye Aur Baat hai Ke Meri Duniya Ujjar Gayi,.
‎"Uski Yad Mein Hum Barso Rote Rahe..
Bewafa Wo Nikle Badnam Hum Hote Rahe..
Ishq Me Madhoshi Ka AalamTo Dekhiye..
Dhool Chehre Par Thi Or Hum Aaina Dhote rahe..."
Mana ki hum hain ujade huye shahar ki misaal...
tumhari aankhen bata rahi hain ki viraan tum bhi ho..
Kal raat apne saare dukh kamre ki deewaron se keh daale ,,
Ab main sota rehta hoon aur deewarein roti rehti hain 
Bhool Jayenge tumhe Yeh Tumse mera Wada Hai,...

Badan Se Zara Saans Ka Rishta To Toot Jane Do….!!!
Rehne de aasmaan, zameen ki talaash kar..
Sab kuchh yahin hai, kahin aur na talaash kar..
Har aarzoo puri ho, to jeene ka kya mazaa..
Jeene ke liye bas ek khubsurat wajah ki talash kar..
fikr-e-mustaqbil ne faasle bana diye warna...
Sab yaar sath the abhi kal ki hi bat hai....
bichad gaya hai jo unka sath kya mangu,
zara si umar hai gham se nijaat kya mangu,
wo sath hote to hoti zarurat bhi,
akeli jaan ke liye qainat kya mangu..
Bohat din ho gaye shayad sahara ker liya usne,
Humare baad bhi aakhir guzara ker liya usne
Humara zikr to uss k labon par aa nahi sakta,
... Humein ehsaas hai hum se kinara ker liya usne
Bhula kar pyar ki kasmein woh vadey tod kar sare
Kisi ko zindagi se be pyara ker liya usne……
Khul jata hai teri yaadon ka bazaar Sar-e-Shaam,.
Phir meri raat issi ronaq maei guzar jaati hai,...
fasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
samne baitha tha wo mere, aur wo mera na tha
Samandar mei fana hona to qismat ki kahani hai saahil,
Jo martey hain kinaron pey ,mujhey dukh un pey hota hai..
kitne pas or kitne door hain hum
khuda bhi janta hai ki kitne majboor hain hum,
saza ye hai ki mil nahi sakte apse,
gunah ye hai k bekasoor hain hum..
Apne hi hote hai jo dil par waar karte hai...
Warna gairon ko kya khabar, ki dil kis baat pe dukhta hai...
‎"Arey hum to aise badnaseeb hain mere dosto,
 Beichein agar kafan to log marna hi chorr dein".