Sunday, 9 October 2011

Marr kar bhi uss ko dekhtay rehnay k shoq mein….
Ankhein kissi ko apni Amanat mein de gyay.!

Ye mera wahem ek din mujhey dubo de ga,
tera aks nazaar aataa hai sammandar ki lehron mein.
Ek Mudat Ke Bad Hum Ne Yeh Jana Aye ” KHUDA ”
Ek Teri Zaat Se Ishq Sacha Baqi Sab Afsaane Hain. .

Insan Ek Hi Baar Muhabbat Karta Hai
Aur Baki Muhabbaten Us Muhabbat Ko Bhulane Ke Liye.

Tumhe maloom hai jaana k tum bhi Ek Qaatil ho,
Mere andar ka hansta hua insaan tumne maar dala ha

Wo aaj bhi sadion ki musafat pay khara hay......
Dhoonda thaa jisay waqt ki deewar giraa kar...!

Bohat Mushkil Ho Gaya Hai Khud Ko Sambhal Rakhna,
Magar Woh Keh Gayi Hai Apna Khayal Rakhna. . .!
Bhatake Hue Phirte Hain Kai Lafz Jo Dil Main..
Duniya Ne Diya Waqt To Likkhenge Kisi Din!!...

ishq nahin hai tum ko mujhse sirf bahane karti ho
yunhi bahane qayam rakhna tum mere mar jane tak

Mushkil To Ye Hai K Usy Meri Mohabbat Ka Yaqeen Hi Nahi . . .
Aur Mein Bhi Majboor Hoon K Dil Nikal K Dekha Nahi Sakti . . . 

Mushkil To Ye Hai K Usy Meri Mohabbat Ka Yaqeen Hi Nahi . . .
Aur Mein Bhi Majboor Hoon K Dil Nikal K Dekha Nahi Sakti . . 
Shayad Us Khuda Ne Khushi Ka Panna Meri Kitab Se Fad Dala
Tabhi To Jindagi Ki Kitab Padhane Me Dard Hi Milata 

Wafayein mangate phirty Hen Fakeeron ki Tarha
Ajeeb Log Hain kehte Hain Mohabbat Ki Hy...

ke wo baat jo khud se bhi chupa rakhi hai
ek wahi baat bhala kaise bataoon tujko

Thursday, 6 October 2011


Janay us shakhs ko yeh kesa hunar aata hai,
Raat hoti hai to aankhon mei utar aata hai…
shayad k mein kamzoor parh jata us aakhri mulaqat mein dost
yeh to barish ki meharbani thi jis ne chupaye aansu mere :(

Mere honton ke mehkte howe nagmon per na jana,,
Mere siney mei kayi auy bhi gham palte hain

Mujhe Bhi Yaad Rakhna Jab Likho Tareekh-e-Wafa,
K Main Ne Bhi Lutaya Hai Mohabbat Mein Sukoon Apna.

Main na jugnu hOn na diya hOn na kOi chaand,
Phir rOshni waale mere naam se jalte kyun hain !
Suna hOga tumne kisi se,ke Dard ki ek Hadd hOti hai,
Milo humse ke hum akser us hadd ke paar jatey hain




Maa-baap  

Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri soch se bhi door tha...

Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay...

Tujh ko aata sirf rona hi tha
Doodh pi ke kaam tera sona hi tha...

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri...

Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga...

Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya...

Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga...

Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei...

Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga...

Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga...

Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga...

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin...

Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya...

Josh main aake tu ne yeh maa se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha...

Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tod do...

Jao ja ke kahin kaam dhanda karo
Log marte hain tum bhi kahin ja maro...

Bait kar aahen bharti thi maa raat bhar
Inki aahon ka tujh par howa na asar...

Ek din baap tera chala rooth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa toot kar...

Phir woh bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi isko har roz satati rahi... 

Maen chala hoon sharab khane jahan koee gham nahee
Jese Dekhne hoo janat mere saath saath ayae

Tuesday, 4 October 2011

HER MOR PE MIL JATE HAI HUMDARD HAZARON

SHAYAD MERI BASTI MAI ADAKAR BOHUT HAIN......
Daastan Mere Laad Pyaar Ki Bas
Aik Hasti K Gird Ghoomti Hai

Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri 'Maa' K Qadam Choomti Hai
Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna..
Maine Wo Zakham Bhi Khaye Hain Jo Meri Qismat Main Nahi The..
Chand k Husan Pe Har Shaksh Ka Haq Hai ....
Main Usse Kaise Kahun Raat Ko Nikla Na Kare....
Inhi Rasto'n Ne Jin Pe Kabhi Tum Thay Sath Mere,
Mujhe Rook Rook Pocha, Tera Humsafar Kahan Hai

Kon kis ke saath kitna mukhlis hai,
waqt har rishte ki auqaat bata deta hai..
Kbhi Guzrti thi Zindgi Khushiyan Pane main,,,
Ab Wqt Guzar Jata hai Kagaz k Tukre Kamany main...!
Mujh say kehti hai tery sath rahoongi
Buht piyar krti hai mujhsey udasi meri

Saturday, 1 October 2011

Thukra k usne mujhko kaha muskura do,
Main hans dia akhir sawal uski khushi ka tha..

Main ne khoya wo jo mera tha hi nahi,
Usne khoya woh jo sirf usi ka tha?..!